BARKAT-E-RAMAZAN-UL-MUBARAK

(SURAH-E-BAQARAH AAYAT NO:23)

TARJUMAH:-
                 RAMAZAN  wo mahena hai jis main QURAN utara gya jo logon k wasty hedayat hai.or hidayat ki roshan dalilayen or HAQ or BATIL main farq karny wala hai.so jo koi tum main sy is maheny ko pa ly to is k ROZY rakhy or jo koi bemar ya safar per ho tu doosry dino sy ginti puri kry ALLAH tum per aasani chahta hai or tum per tangi nahi chahta or ta k ginti puri kro.ku k tum ALLAH TAALA ki BARAI bayan kro is per k is ny tumhain  hedayat di or ta k tum shukar ada karo.

1st RAMADAN-U-MUBARAK KI PEHLI BARKAT
                is mubarak maheny main QURAN MAJEED  ka aasman sy dunya main nuzool howa.yeh tamam dunya k basny walon k liye zabta-e-hayat hai is main amoor khanadari sy  lykr badshahi tak k liye qanoon hayat mojood hai. aesa zabta-e-zindagi sarapa-e-rehmat-o-barkat hai.

2nd BARKAT
               QURAN MAJEED he hai jo bani noh insan k liye rahnuma hai. her mamly main manjanib seedha rasta dikhata hai. koi insan jo is QURAN MAJEED per amal kary kabbhi gumrah nahi ho sakta..

3rd BARKAT
                       is QURAN k ahkam wazah tareeen hain. her insan jo aqalmand ho baasani ALLAH TAALA ki KALAM-E-PAK ka matlab samajh sakta hai..

4th BARKAT
               yeh QURAN MAJEED haq or batil k darmayan farq larny wala hai. maslan (RASOOLALLAH S.A.W.W) k zamany main jesy mushrik ghair rullah ko yakeeni maboodo ko pukara karty thy. isi tarah QURAN MAJEED  ki taleem sy na waqif musalman  hajat rawai k liye  ALLAH TAALA  k siwa or doosron ko pukarty hain . ALLAH TAALA  ny SURAH-E-JIN RUKO NI 1 MAIN FAR,MAYA.

TARJUMAH: 
                     or bay shak masjidayen ALLAH k liye hain pus tum ALLAH k sath kisi ko na pukaro.

5th BARKAT
                     ALLAH TAAL ny farmanbardar bando per RAMAZAN-UL-MUBARAK k rozy farz kiye hain hukum hai k jo shakhs RAMAZAN-UL-MUBARAK k maheny main ghar main mojood ho wo zaroor roza rakhy.

6th BARKAT
              QURAN MAJEED k elan sy yeh bhi maloom ho gya k jo shakhs bemar ya musafir ho to RAMAZAN main rozy choor sakta hai is k bad doosry dino main rozon ki qaza kr dy. yeh bhi ALLAH TAALA ki taraf se aik sahoolat rakhi hai kon se bemar or musafir k liye roza chorna jayez hai iski tafseel kutub fiqah main hai.

ROZA KIS WAQT SY SHURU HOGA
IRSHAD ELAHI HAI SURAH-E-BAQARAH AAYAT NO: 33

TARJUMAH:-
              or khao piyo jab tak tmhary liye safaid dhari,siyah dhari sy FAJAR ka waqt saaf zahir ho jaye yani FAJAR ki safaidi numayan na ho jaye.


PHIR ROZA KAB TAK HAI
             roza rakhy raho yahan tak  k rat aajaye. rozy dar k liye jis tarah khana peena mana hai isi tarah orton sy hum bistar hona bhi mana hai. roza drasal in cheezon ki mumaneat karta hai yah hukum ELAHI is liye wazah kar diya gya hai ta k koi insan yah na samjhy k roza sirf khany peeny sy nahe rokta hai.

1ST REWAYAT
AHADEES MUTALKA RAMAZAN SHAREEF
TARJUMA:-
             HAZRAT ABU HURERA R.Z.T.A se rewayat hai k RASULALLAH S.A.W.W ny farmaya jab MAH-E-RAMAZAN shareef hota hai to jannat k darwazy kholy jaty hain or dozakh k darwazy band kiye jaty hain. or shaytano ko band kar diya jata hai or 1 rewayat main hai k rehmat k darwazy kholy jaty hain.

2ND REWAYAT
ROZA KIS WAQT SY SHURU HOGA
TARJUMA:-
              SOHAIL BIN SAAD sy rewayat hai k jannat k 8 darwazy hain jin main sy 1 ka nam rayyaan hai is darwazy sy sirf roza rakhny waly dakhil hngy ghoor kijye k roza rakhny walo k liye yeh kitni bari fazeelat hai. k un k liye 1 makhsoos jannati doodh tayyar kia gya hai.

3RD REWAYAT
TARJUMA:-
                   HAZRAT ABU HURERA R.Z.T.A sy rewayat hai RASULALLAH S.A.W.W ny farmaya  jis shakhs ny EMAN k sath sawab  samajhty howe RAMAZAN k rozy rakhy is k pichly tamam gunah bakhshy jayen gy or jo shakhs khara hwa. yani RAMAZAN ki raton main NAMAZAYN parhy or jis ny NAMAZ-E-TARAWEEH ada ki is k pichly gunah bakhsh diye jayen gy. or jis shakhs ny LAILATULQADAR main qayam kia is k pichly gunah bakhshs diye jayen gy.

4TH REWAYAT
TARJUMA:-
                  HAZRAT ABU HURERA R.Z.T.A sy rewayat hai k RASULALLAH S.A.W.W ny farmaya k  insan k her naik amal ka sawab zyada kia jata hai is tarah k her neki ka sawab dus gunah milta hai yahan tak k 700 guna tak barha diya jata hai ALLAH TAALA ny farmaya k rozy ka sawab is sy bhi bala tar hai is liye k yeh sirf meri khushi k liye hai or main is ki jaza dn ga.
                  roza apni khwaheshat ko chorta hai khany ko peeny ko sirf meri khushi k liye chorta hai or rozy dar ko 2 khushyan hasil hoti hain 1 khushi roza kholny k waqt or doosri khushi apny parwardegar sy mulakat k waqt hasil hogi. or rozrdar ki moo ki bu KHUDA k nazdeek mushk sy zyada khushbudar hoti hai.or rozy dhal hain. or jab tum main sy kisi ka roza hoto woh fahash batayen na kry or na byhoodgi sy chillaye or agar koi isko bura kahy ya koi is sy larny ka irada kry to woh is se keh dy k main rozydar hon.

5TH REWAYAT
TARJUMA:-
            HAZRAT ABU HURERA R.Z.T.A  sy rewayat hai k RASULALLAH S.A.W.W ny farmaya jis waqt RAMAZAN ki pehli rat hoti hai qaid kar diye jaty hain shytan or sirkash jin or dozakh k darwazy band kar diye jaty hain. phir nahi khola jata dozakh ka darwaza. or jannat k darwazy kholy jaty hain phir iska koi darwaza band nahe rakha jata or 1 elan krny wala elan karta hai. yeh k ay neki k talib neki ki taraf mutawajjah ho or ay burai ka irada rakhny waly burai se baaz aa or ALLAH TAALA azaad karta hai is mubarak maheny main dozakh sy boht logo ko or aesa her rat ko hota hai.

6TH REWAYAT
TARJUMA:-
                 HAZRAT ABDULLAH  BIN UMRO sy brewayat hai k RASULALLAH S.A.W.W ny farmaya k RAMAZAN or QURAN bandy ki sifarish kryn gy. roza kahy ga (AY ALLAH TAALA ) main ny isko khany or  khwaheshat  sy din main roky rakha. pus is k lye meri sifarish qabool farma. or QURAN  kahy ga k main ny isko rat main neend sy baaz rakha  pus is k haq main tu meri sifarish qabool farma pus in dono ki sifarish  qabool kar li jaye gi.

           FAZAILL-E-RAMAZAN-UL-MUBARAK
TARJUMA RUKOO NO: 5 
            Ay eman walo tum per rozy farz kiye gye hain jis tarah tum sy pehli ummato per farz kiye gaye thy. (is liye) k tum rozy ki badolat muttaqi ban jao.
HAQ TAALA  ny is aayat kareema main rozy ki farziat ko is ki khusoosi  imtaiz sy bayan farmay hai, ISLAM  k 5 arkan hain soom ki jo ahmiat-o-fazeelat hai is se kam-o-baish takreeban musalman na waqif hain  yahan is mukhtasir se mazmoon main na gunjaish hai na eaada ki zarorat hai isi qadar is sy afsos naak  had tak na waqfiat bhi hai is liye yahan rozy ki sirf 2 khasusiat bayan kar k  zaroori masaill paish karny ki koshish ki gai hai. HAQ TAALA nafa farma k qabol farmaye 
rozy ki pehli khasusiat wo hai jis k bary main HAQ TAALA  ny farmaya hai roza he aesi ebadat hai k insan ki ibtadai tareekh sy ly kar aaj tak koi shareat or koi millat aesi nai guzri jis main rozy ki ebadat ko bunyadi fareeza na qarar diya gya ho. chunacha (HAZRAT ADAM A.S) sy lykr bani aakhiruzzaman S.A.W.W tak ikhtilafat tadad or tabdeel k sath yeh ebadat brabar fareeza ki shakal main muntaqil hoti chali aarahi hai. goya is tarah yeh ebadat insan ki sab sy qadeemi ebadat hai.
IRSHAD-E-NABVI S.A.W.W sy sabit hai k HAQ TAALA  farmaty hain tarjuma yani qayamat k din jab dosron k huqooq k mutalbat hongy or banda wahan puri na kr saky ga. to phir bandy ki ebadatayn sahib-e-haq ko dilwai jayen gi in ebadaat main sy sirf  roza he 1 aesi ebadat hai HAQ TAALA is ko sahib-e-haq k liye muntaqil nahe farmayen gy.or farmayen gy k yeh khusoosi ebadat hai is ka sawab main isi rozy dar ko dnga kisi k mutalby k badly main yeh ebadat nahi di ja sakti pus is mubarak maheny ko ghaneemat samajhna chahye. 
                                           CHAHEYAY BHAI TUM KO QADAR ZAMAN
                                           PHIR YEH MOKA KAHAN YEH WAQT KAHAN

MASAILL-E-SOOM
                     Yeh ebadat her baligh musalman per farz hai. majnoon or na baligh bachy is ebadat k mukallif nahi hain magar jo bachy baligh hony ki umer tak phnch jayen to rozy rakhny ki aadat zaroor dalwani chahye subah sadiq se ghuroob-e-aftab tak apny aap ko ba niyyat khany peeny or suhbat sy bachaye rakhna roza kahlata hai. Ayyam-e-haiz-o-nafas main khawateen k liye rozy ki mumaneat hai.magar bad main in ayyam ki qaza zaroori hai. neez mumaneat k ayyam main agarchy roza nai hota magar alelan khana peena munasib nahi hai.rozy k liye niyyat yani dil k irady ka hona shart hai. baghair niyyat k roza nai hota zaban se keh lyna bhi behtar hai. 

ROZY SY MAZOORI K HALAT
             Musafir sharie,wo mareez jis ki halakat ka andesha ho ya sehat hony main dair lag jany ka andesha ho in sab ko jayez hai k RAMAZAN main rozo ko multawi kar dyn or halat theek hony per inki qaza krayn. magar jismani or jani nuksan main khud apni raye mutabir nahi bal k kisi aesy mahir-e-tabeeb ki shahadat zaroori hai jo musalman ho or deen dar bhi agar mualij gher muslim hai to bhi kisi gher muslim sy tasdeeq karana zaroori hai.jo borha burhapy ki kisi aesi had main pohnch gaya hai k roza rakhny sy daimi tor per aajiz ho gaya.yani sardi k choty ayyam main bhi roza nahi rakh sakta. is ko apny roza ka fidya dena chahye yani do waqt ka khana her rozy k ozz main kisi miskeen ko khila dena. ya baqadar 1 fitry k brabar ya naqad dena fitry ki mikdar sadqat-ul-fitr k unwan main darj hai.

MAFADAT-E-SOM
            Rozy ki halat main agar qasdan aesi cheez kha li ya pee li jo bator-e-ghiza ya dwa k istamal hoti hai ya sohbat ka irtakab kia to aesi halat main roza toot jaye ga.iski qaza-wa-kaffara lazim hai.rozy ka kaffara lagatar 7 sath rozy rakhna hai agar darmayan main koi nagha ho gya to az sir no rakhna. han ayyam-e-haiz ka nagha tawatar k khilaf nahi lakin nafas sy wo tawatar baqi nahi rehta.agar roza bhi na rakh saky to 7 sath miskeeno ko 2 do waqt pait bhar k khana khilaye ya naqad her miskeen ko baqadar sadqa fitar k dydy.khana 1 dum khilaye ya mukhtalif oqat main or agar koi aesi cheez khai jis ka istamal bator-e-ghiza ya dawa k nahi hai to rozy ki sirf qaza zaroori hai,kaffarh nahi.isi tarah kan ya nak main patli dawa dalna ya kisi or zaryay sy ajabat k mukam sy dawa pait main phnchana qasdan moo bhar k karna or cigreate wa segar wagera neez wo cheezyn jin se dhuwan moo main liya jaye istamal karna hat'ta k dhoni lyna bhi.kulli karty waqt ya moo dhoty hwy bala qasad halak main pani chala jana.in sab soorton mai roza fasid ho gya.sirf qaza lazim hogi.kaffara wajib nahi.

WO HALAT JO MAFADAT SOM NAHI
              Tooth powder ya koi or manjan istamal karna mufsid-e-som nahi magar makroh hai.lyhaza perhaiz zaroori hai,han maswak karna,oil lgana,surma ya mehndi lgana etar songhna,bholy sy kha pe lyna.bila qasad ky ho jana.bila qasad ghubar ya dhuwan wagera halak main chala jana,injection lagwana na mufsid som hai.na makrooh han taqat injection jo is main lagwaya jaye k roza maloom na ho khilaf-e-iola hai jis ko nafs perqudrat ho is k liye biwi k pas bathny main koi harj nahi.agar thook k sath khoon pait main jana mehsoos ho to agar khoon thook per ghalib hai to roza reh jata hai.agar khiin mamooli hai to to roza fasid nahi hwa.